Ha , Gap year ke baad JEE de sakte hai . JEE main or JEE Advance in dono ke liye Gap year me exam dene ka ruls alag hote hai jaise yadi 12th ke baad apne 1 year ka gap liya to bhi aap JEE main exam de sakte hai kyuki yah pariksha 1 year me do baar hoti hai .12th ke baad lagatar 3 saal tak aap is pariksha ko aap de sakte hai .3 saal me 6 baar yah pariksha hoti hai lekin JEE Advance me iske ruls change ho jaate hai .iske hisab se 12 ke baad do saal tak hi aap JEE Advance ki pariksha de sakte hai.JEE Main ke liye koi aayu seema nirdharit nahi hai. Lekin JEE Advance ke liye yah niyam alag hai; isme student ka janam 1 October 2002 me ya uske baad hua hona chahiye yah EWS /GEN/OBC cast ke students par lagu hota hai. Lekin SC/ST wale students ke liye yahi patrata 1 October 1997 me janam liye ya uske baad janam liye students par lagu hoti hai.SC/ST/ PWD cast walo ko 5 year ka benefit milta hai. Form bharte samay Gap certificate ki koi jarurat nahi hoti hai, lekin exam me selection ke baad college selection ki counselling ke baad jo document verification hota hai usme iski jarurat pad sakti hai.JEE ka result percentile ya NTA ke dvara ghoshit kiya jata hai.
JEE Main OR JEE Advance me difference -
JEE Main - 12th ke baad lagatar 3 saal tak diya ja sakta hai; yadi aapne 12 ke baad 1 saal ka Gap liya hai to aap agle 2 saal tak Exam de sakte hain. isme koi age limit nahi hoti hai .JEE Mains ke liye 12 me percentage ki koi badhyta nahi hoti hai.
JEE Advance - JEE Advance me 12 ke baad 2 saal tak hi aap exam de skte hai .isme JEE Advance me 12th me 75% hona chahiye or sc /st or pwd Cast ke students ke liye 65% hona chahiye.JEE Advanced ke liye 2 baar hi chance milta hai. Yah pariksha ek hi din me do shifto me aayojit ki jaati hai our niyam ke anusar yah dono shifto ki pariksha dena anivary hota hai.JEE ki pariksha ek entrance exam hota hai jo ki engineering college me admission ke liye bahut hi jaruri hota hai. Is pariksha ki taiyaari ke liye vidyarthiyon ko lagataar mehnat karni chahiye.




